Monday, March 17, 2008

Gazal: Khuwabon Mein Aaoonga



~*~
Khuwabon Mein Aaoonga ~*~

Mahsoos dharkanon mein jo karta tha aaj tak ,
Wo geet to main aaj suna kar hi jaoonga !

Chhalkey jo paimaney mein usi jaam ki tarhan ,
Mai pyaar zindagi mein yoon chhalka ke jaoonga !

Maut se darta nahi shama ka parwana ,
Yeh raaz main duniya ko bata kar hi jaoonga !

Mausam-e- bahaar mein hoti hai jo hal-chal ,
Kuchh dil mein terey aisi hi hal-chal machaoonga !

Qadmon ke terey naqsh kuchh baqi hain ret par ,
Lahroon ki tarhaan ret se milney main aaoonga !

Bhar legi apni baahon mein ek roz wo mujh ko ,
Har raat yahi soch ke khud ko sulaaoonga !

Kahtey hain zannat mein bhi hoti hai mohabbat ,
Wada hai zindagi mein hi zannat dikhaaoonga !

Lagta hai merey pyaar ke qadmon ki chhaap hai ,
Sajdey se yahi soch kar sir ko uthaoonga !

Har baar tasawwar mein ubharta tha tera akks ,
Aaj apney tasawwar ko haqikat banaaoonga !

Thukra bhi diya usney kisi din mujhey agar ,
Wo pyaar ki waadi se pukarey to aaoomga !

Paya hai tujhey aaj duwaaon ke asar se ,
Khudaya tera ahsaan main kaisey chukaoonga !

Toot jaye agar zindagi ki door bhi, Sam !
Ban jaoonga ek yaad aur khuwabon mein aaoonga !



No comments:

Post a Comment